Monday, April 9, 2012

Koshish Karne Walon Ki Kabhi Haar Nahin Hoti

Lehron se darkar nauka par nahin hoti,
koshish karne walon ki kabhi haar nahin hoti,
Nanhi cheenti jab daana lekar chalti hai,
chadti deewaron par, sau bar phislati hai.
Mun ka vishwas ragon mein sahas bharta hai,
chadkar girna aur girkar chadna na akharta hai.
Akhir uski mehnat bekar nahin hoti,
koshish karne walon ki haar nahin hooti.

Dubkiyam sagar mein gotakhor lagata hai,
ja ja kar khali haath laut ata hai.
Milte na sahaj hi moti gehre paani mein,
badhta dugna utsah isi hairani mein.
Muthi uski khali har bar nahin hoti,
Koshish karne walon ki kabhi haar nahi hoti.
 

Asaflta ek chunoti hai ise sweekar karo,
kya kami rey gayi hai deekho aur sudhar karo.
Jab tak na safal ho neend chain ki tyago tum,
Sangharsh ka maidain chodkar mat bhago tum.
Kuch kiye bina hi jai jaikar nahin hoti,
koshish karne walon ki kabhi haar nahin hoti.
                                                                                    by   Harivansh Rai Bachchan